Dosto bahut din phele yeh chand ahsaas maine kagaz par likhey thy, bas en ahsaason ko aapke saath share karne ka mokka hi nahi mil raha tha, dosto yeh ahsaas tab mere zehan meiN aaye jis waqt meri nanhi si jaan (meri bitiya) operation theater meiN thi, us waqt apne ko bahut bebas aur tanha sa mahsoos kar rahi thi main, vaise to sab thy mere paas….
par jo shakas mere liye sab kuch hai wahi nahi tha bas mere paas….
to unhi ke liye hain yeh mere ahsaas…..
Kaash tum aa jate
Aaj kuch waqt ke liye paas mere,
kaash tum aa jate,
Bahut tanha hoon main aaj,
kaash tum aa jate,
Kabhi khud ko etna kamjor na hone diya maine,
Par aaj bikhar gaye hoon main,
kaash tum aa jate,
Tumhi se milta hai housla harpal mujhe,
Chahiye aaj bahhon ka sahara,
kaash tum aa jate,
Barson se jee rahi hoon bin tere “Sajan”,
Aaj nahi guzar raha ek pal,
kaash tum aa jate,
Waqt ki raftaar bhi jaise thum se gaye hai,
Thum na jaye meri nabaz,
kaash tum aa jate.
-by Sunita Virender Singh
2 comments:
jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai
uth jati hai kalam likhne ko
wo pyar deewana hota hai
kar deti hai haal-e-dil bayaan
wo kalaam shayraana hota hai
jab yaad karte hai kisi ko
wo waqt suhana hota hai...
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
duniya mein kitna gam hai
apna gam phir bhi kam hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
JIS DUNIYAME HAIN HAM BIKHRE,
USI DUNIYAKO SWARNE KASH TU AA JATE,
JIS WAQT KO YAD KAR HAR PAL ROTE HAIN,
USI WAQT HASANE KASH TUM AA JATE,
HAM TO AKELE THE AUR AKELE HAIN,
FIR BHI HAMARA SATH DENE KASH TUM AA JATE.
Post a Comment